Monday, November 30, 2020

Instagram Account 2021 Me Jaldi Verify Karwaye

Instagram Account 2021 Me Jaldi Verify Karwaye 

Instagram Verify Karwaye


Hello Dosto,
Social Networking Sites Me Sabse Tezi Se Download Hone Wala Application INSTAGRAM Ko Maana Jaata Hai, Instagram Chalana Sabko Bahut Aasaan Lagta Hai Aur Isme Saare Kaam Aasaani Se Ho Jaate Hai, Jaise Pics Or Videos Upload Karna, Story Lagana Aur Chat & Live Chat Karna Aur Application Ke Mukable Bahut Aasani Se Ho Jaata Hai. 

Social Networking Sites Me Saare Website Ya Application Me Jab Tak Aapka Account Verify Nahi Hota Hai, Tab Tak Aapke Account Ko Genuine Nahi Mana Jaata Hai, Yeh Baat Bahut Se Logo Ko Sayed Nahi Pata Hoga, Aise Hi Instagram Me Apne Account Ko Verify Karwana Jaruri Hai, Jiske Liye Aapko Instagram Verification Me Form Apply Karna Hota Hai, Jiske Baare Me Main Aapko Batane Jaa Raha Hu.

NOTE - Instagram Verification Ke Liye Aapka Account Ek Business Account Ya Creator Account Hona Cahiye.


Business Account Aur Creator Account 2021 Me Kaise Banate Hai?


Aap Inn Steps Ko Follow Karke Apna Instagram Account Verify Karwa Sakte Hai.

STEP - 1
Apne Instagram Application Ko Open Kare Fir Apne Account Ko Open Kare.

STEP - 2
Ab Apne Instagram Application Ke Right Side Me 3 Line Me Click Kare.



STEP - 3
Ab Apne Account Ke Right Side Me Niche Ki Taraf Settings⚙️ Ke Option Me Click Kare.


STEP - 4
Ab Six Number Option (Account) Me Click Kare.


STEP - 5
Ab 12th Number Option (Request Verification) Me Click Kare.


STEP - 6 
Ab Aapka Instagram Verification Page Open Ho Jayega Jisme Aapko Apne Baare Me Kuch Details Batana Hoga, Jaise Ki

Full Name - Smart Bot
Known As - Blogger (Aapka Account Jis Category Me Aata Hai)
Category - Blogger/Influencer
Attach Your Photo Id - Pan Card/Driving License/Passport/Voter Id Etc. (Aisa Koi Bhi Identity Jisme Aapka Naam Aur Date of Birth Ho. (Aadhar Card Nahi Chalega)


STEP - 7
Ab Send Ke Button Me Click Kare.


Aapka Account Verification Request Ke Liye Chala Jayega Aur Aapko Aapke Instagram Me Add Kiye Hue Email Me 1 Week Me Mail Aa Jayega, Ki Aapka Account Verify Hua Hai Ya Nahi?


NOTE - Agar Aapka Account Verify Nahi Hota Hai To Aap 15 Days Me Dubara Verification Request Kare Aur Agar Aapka Account Verify Ho Jaata Hai To Aapko Apna Account Ke Username Ke Saath Blue Check Tick Dekhne Ko Milta Hai.